Thursday 17 January 2013

LUTI MARYAADA



Chadti   Jawaniyan  luta  rahi  hai  mastiya ,
Badal  Gaya  aaj  Jo  Kal  Ka   Yug  Tha  ,
Swachchh  Sarita  Me  Mamta  Ka  Jug Tha ,
Saaye Daman Ki Khateer Duniya  s e Majboor Tha ,
Maan Maryaadawo  Me Chhipa  Washnawon Se  Door  Tha,
Zindagi  Jeene  Ki  Kya  Nayi  Aayi  Hai  Samajh  Jo ,
Charmkaaya  Har-Pal  Saja   Rahi  Hai Hashtiyan ……..//

Maana  Ki  Jamaane  Ki  Mishal  Hoti Hai  Dastoor ,
Har Waqt  Manane  Ki  Vishal  Hoti  Hai  Noor ,
Magar  Aise  Hi  Nahi  Lutate  Hai  Mastiyan ,
Kya  Yaad  Nahi  Aati  Un   purwajon Ki  Raahen ,
Wapas Harpal Bula  Rahi Hai  Unki  Wo  Astiyaan ,
Kya Hai Aacharan  Ki  Sabhyata  ko  Itne Gaye Bhool ,
Jo Naa  Dekhe  Mijaaj Chalte  Hain  Ho Ke Majboor………//

Kyon Milti Hai Khushi Kisi Ko Gam Dekar Itni  Sastiyaan ,
Har Tanhayi Me Ban Jaati Hai Kisi ke Gam Ki Bastiyaan ,
 Waada  Bhi  Tut Jaate Hai Har Baato Ke Saath ,
Kisi chehre Ki Khubsurti  Hamesh Hoti Hai  Kaash ,
Kahaan se Kahaan Aa Gaye  Ham  Aaj ,
Vilaasitawon  Ne Khaya Jo Aati Na Laaj ,
Parwaana  Bulandiyon  Me  Harpal Kyo Juta Rahin Hai Hastiyaan …….//


………………………………..Harikesh Singh “ AKELA “

No comments:

Post a Comment