Tuesday 20 November 2012

IK AAWAJ JINDAGI KI……….


IK AAWAJ JINDAGI KI……….

Har kisi ko jindagi me talash rahti ik safar ki,
Har dard ,har fasle ki, har pahlu ki ik pahar ki ,
Waqt se mang lo khushiyo me kya kam hai ,
Wahi hasa sakta hai kisi  chehre ko jiski tanhaiyo me dam hai ,/

Ache yaro ka sath ho ya kisi apne ka hath ho ,
Badal jati hai har pahal u hi jindagi ki  ,
Ankhe chhupati hai har raj dil ka magar  ,
Chehra saf baya kar deta hai har sayari kisi dil ki ,/

Kaun kahta hai ki wo parchhaiyo  se roobru hai ,
Har baat ki ik buniyad bani hoti hai ,
Har aukat ki ik aukat kahi hoti hai ,
Kadam samhale in dino bhi to wo jindagi se koso door hai , /

Dost ki dosti hamesa kadam samhalati hai ,
Har rah , har ik dagar pe nayi karwa bulati hai,
 lekin ik dil ka pyaar hamesa hath thame ,
har pal ik khwab banakar jindagi ki har mukam dilati hai,/

dil ki har sayari ki ik kahani hoti hai jiski koi nahi hai sima,
derd ko dard na samjho  ye  dost mere ,
derd har gam ko gahrayiyo me mila jati hai ,
har khushi bhula deti hai kabhi ji bhar ke  jindagi ka jeena…………/

                        by    ………………………………Harikesh Singh “ AKELA “
                                   Harikeshakela.nit.iim@gmail.com
                   
More on……www.harikeshakela.blogspot.com

No comments:

Post a Comment